Sunday 28 July 2013

Hazrat Ibrahim ko tamaam Ilm sikhaya gaya, aur Hazrat Ibrahim ka Ilm Huzoor k Ilm k Dariya k saameny ek Qatrah hain..

وعلم ادم الاسمآء کلھا ثم عرضھم علی الملاءکۃ

TARUMA: "Aur ALLAH TA'ALA ne Aadam ko Tamaam Ashiya (Cheezon) k naam Sikhae phir Sab Ashya Malaika (Faishton) par Pesh Kin"
 (PARAH#1, SURAH#2, Aayat#31)

Tafseer E Madarik main Isi Aayat k MA Tehet hai.

HAZRAT AADAM (ALEH SALAAM) ko Tamaam Cheezon k naam bataney k Maenay (Meaning) yeh hain k ALLAH TA'ALA ne unko woh tamaam Jinsen Dikha din jis ko Peda kiya hai, aur unko bata diya k is ka naam GHORA (HORSE) hai, aur iska naam OONT (CAMEL) hai, aur is ka naam Falaan hai (wagera wagera),

Ibn-E-ABBAS se marwi hai k In ko har cheez k naam sikha diye yahaaan tak k Piyaali wagera k bhi"
(Tafseer-e-Madarik, Jild#1, Page#45, Matboo’a Maktaba-tul-Quran Wal Sunnah, Peshawar)

Tafseer E Khazaan main isi Aayat main Yeh hi mazmoon (Topic) bayaan farmaya:

" Kaha gaya k HAZRAT ADAM (ALEH SALAAM) ko tamaam farishton k naam sikha diye aur kaha gaya hai k in ki Aulaad k naam aur kaha gaya k in ko Tamaam Zabanen sikha di gain"
(Al-Baab ut Taaweel Fi Ma’ani ut tanzeel Al Maroof, Tafseer-e-Khazin, Jild#1, Page#24, Matboo’a Dar-ul-Ma’arfah, Beroot)

Tafseer E Kabeer main isi Aayat k Ma Tehet hai:

HAZRAT AADAM (ALEH SALAAM) ko tamaam cheezon k Ausaaf aur un k Haalaat sikha diye aur yeh Mashoor hai k Murad E Makhlooq main se har Haadis ki Jins k Saaray naam hain, jo Mukhtalif Zabaanon main honge, jin ko Aulaad E Aadam Aaj tak Bol rahi hai, For E.g: Arbi, Farsi, Romi, wagera (tamam ki tamaam Zabaanen jo aaj tak is dunya main Istimaal huin aur hoti rahengi)
(Tafseer-e-Kabeer, Jild#1, Page#397, Matboo’a Dar ul Ehya, At Turas ul Arabi, Beroot)

Tafseer Abu Saood main isi Aayat k Ma tehet hai:

"Kaha gaya k HAZRAT AADAM (ALEH SALAAM) ko Guzishta (Past) aur Aaenda (Future ki) tamaam Cheezon k naam bata diye, aur kaha gaya hai k Apni Saari Makhlooq k naam bata diye Aqli, Khayaali aur wehmi cheezen bi bata din, aur Un cheezon ki zaat k naam, un k Khaasay, unki Pehchaan, ILM k Qawaaid, Hinron k Qaanoon, un k Auzaaron (Instuments or Weapons) ki Tafseel aur un k Istamaal k tareeqay ka ILM, HAZRAT AADAM (ALEH SALAAM) ko ILHAAM farmaya..
 (Tafseer Abi ul Saood, Jild#1, Page#84, Matboo’a Dar ul Ehya ut Turas al Arabi, Beroot)

Imam Hussain Bin Mas’ood Magwi 816 Hijri main likhtey hain:

Tarjuma: “Aur yeh Qol bhi hai k jo kuch huwa aur jo kuch Qiyaamat tak honey waala hai sab k naam murad hain
(Tafseer Mu’aalim ut Tanzeel, Jild#1, Page#61, Matbooa’ Dar ul Ma’arfah, Beroot)

Ger Muqallidon k Imam Muhammad Bin Ali Shokani 1250 Hijri main likhtey hain:

Tarjuma: “ ALLAH TA’ALA ka Farmaan "کلھا" ki taakeed ka faedah yeh hai k ALLAH TA’ALA ne Hazrat Aadam (Aleh Salam) ko tamam Naam sikha diye aur is se jo kuch honey waala hai aur jo kuch ho chuka hai, koi shey bhi khaarij nahin”..
(Tafseer Fatah ul Qadeer, Jild#1, Page#24, Matboo’a Dar ul Fikar, Beroot)

Tafseer E ROOH UR BAYAAN main isi Aayat k Ma Tehet hai:

" Aur HAZRAT AADAM (ALEH SALAAM) ko Cheezon k haalaat sikhae, aur jo kuch in main Deeni o Duniyawi NAFA'A hain, woh batae, aur in ko Farishton k naam, inki Aulaad aur Hewaanaat aur Jamadaat k naam batae, aur har cheez ka banana bataya, tamaam Shehron (Cities), aur Gaaon (Villages) k naam, Parindon (Birds) aur Daraakhton (Trees) k naam, jo ho chuka, ya jo kuch bhi hoga, un k naam aur ALLAH TA'ALA jo kuch QAYAAMAT tak Peda farmae ga, un k naam aur Khane Peenay ki Cheezon k naam , Jannat ki har Ne'mat, Garz yeh k har Cheez k naam Bata diye, HADEES main hai kHAZRAT AADAM ko 7 Laakh Zabanen sikhai gain..
(Tafseer Rooh ul Bayaan, Jild#1, Page#136, Matboo’a Dar ul Ehya ut Turas al Arabi, Beroot)

IN Tafaaseer se Maaloom huwa k Maakaan Aur Maayakoon k Saare Uloom HAZRAT AADAM (ALEH SALAAM) ko diye gae, Zabaaanen (Languages), Cheezon k Nafa o Zarar (Profit n Loss) banane k tareeqay, Aalaat (Instruments) ka Istamaal sab Dikha diye..

Lekin ab mere NABI (Sallalaho Aleh Wassallam) k Uloom to dekho, HAQ yeh hai k yeh ILM E AADAM, meray NABI (Sallalaho Aleh Wassallam) k ILM k Darya ka Ek Qatra hai..

SHEIKH IBN-E-ARBI, FATOOHAAT-E-Makiyah k Baab Daham (10) main farmate hain:

Tarjuma: “HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) k pehle KHALEEFA aur NAAEBAADAM (Aleh Salaam) hain"

Maaloom huwa k HAZRAT AADAM (ALEH SALAAM) , HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) k Khaleefa hain.

Khaleefa usko kehte hain jo Asal ki Ger Mojoodgi main uski Jagah Kaam Kare,

HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Pedaish se Qabal saare Ambiya HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) k naaeb the..

Yeh baat Molvi Qasim Sahab (Deoband k baray Aalim) ne apni Kitaab Tehzeer Un Naas main likhi aur maani hai..

Jesa k hum bayaan kar chukay hain, k Khaleefa k ILM ka yeh Haal hai, to Aap Khud Sochen K NABI (Sallalaho Alehe Wassallam) ka ILM kitna hoga...

JazakALLAH

No comments:

Post a Comment