Sunday 28 July 2013

Ilm-e-Gaib ki tareef aur Wazahat:

ILM-E-GAIB:  

GAIB ki Taareef aur is ki IQSAAM (TYPES):

Gaib woh chupi huwi cheez hai, jis ko INSAAN na to Aankh, Kaan, Naak wagera, ya kisi Hawaas se Mehsoos kar sake, aur na Bila Daleel Aqal main Aasake.

For E.g:

Khanon ki lazzaten (TASTE), aur in ki Khushbuwen hamare liye GAIB nahin, q k Yeh Aankh se Chupay hone k Baawajood, dusre Hawaas (Naak, zabaan) se Mehsoos ki ja sakti hain,

Ab Gaib kya hoga...

Jinnat, Malaika (Farishtey), aur Jannat aur Dozakh Wagera hamare liye is waqt GAIB hain..

Q k Yeh na Hawaas se maalooom hosakte hain, aur na hi Bila Daleel E Aqal se,..

Ab GAIB hote hain, 2 tarah k..

1) Woh GAIB, jis par koi Daleel Qaim hosake, Yaani Dalael se maaloom hosake..

For E.g: Jese Jannat, Dozakh aur ALLAH TA'ALA ki Zaat o SIFFAAT... k In Baaton ka Andaza, Is DUNIYA ki Cheezen dekh k aur QURA'ANI AAYAAT dekh kar pata chalta hai..

2) Dusra GAIB woh jis ko Kisi DALEEL se Bhi Maaloom na kiya ja sake,

FOR E.g:

QAYAMAT ka ILM, K Kab hogi??,
 INSAAN kab Marega??,
Aur Aurat k Pait main Larka hai ya Larki, Bad Bakht (Buri) Aulaad hai, Ya NAIK BAKHT (NAIK) AULAAD, yeh woh Baaten hain, jin ko Daleel se bhi maaloom nahin kiya ja sakta...

Isi Dusrey GAIB (TYPE) ko Mafateh-AL-GAIB, kaha jata hai..
Aur is ko Parwardigar e Aalam ne Farmaya,
فلا یظھر علی غیبہ احدا الا من ارتضی من رسول۔
(Parah#29, Surah#72, Aayat#26,27)

Iski Tafseer Bezaawi main is hi Aayat k Tehet, Gaib ki Kuch yun Taareef ki gai hai:

"GAIB se Muraad woh chupi huwi CHEEZ hai, jis ko Hawaas na Pa saken aur na Badahatan usko Aqal chahe"
 (Anwar ul Tanzeel, Jild#1, Page#28)
Tafseer Kabeer Suarh Baqar k Shoru main Isi Aayat k Ma Tehet hai:

" Aam Mufassareen ka Qol hai, k GAIB woh hai, jo Hawaas se Chupa ho, Phir GAIB ki 2 Qismen hoti hai, Ek to woh jis par Daleel ho, dusri woh jis par koi Daleel nahin"
(Tafseer-ul-Kabeer, Jild#1, Page#27, Matboo’a Dar ul Fikar, Beroot)


Tafsser ROOH ur Bayaan main Shoru SURAH E BAQAR k Ma Tehet hai:

" GAIB woh hai, jo HAWAAS aur AQAL se poora poora chupa ho, is tarah k kisi Zariye se bhi IBTADA'AN, KHULLAM KHULLA maaloom na hosake,
GAIB ki 2 QISMEN (TYPES) hain, Ek woh jis par koi Daleel na ho, woh hi is Aayat se Muraaad hai, k ALLAH TA'ALA k Paass GAIB ki Kunjiyaan (CHABIYAAN) hain,

 dusri Qisam woh jis par Daleel Qaim ho, Jese ALLAH TA'ALA aur Uski Siffaat, woh hi is Jagah Muraad hai"
(Tafseer Rooh-ul-Bayan, Jild#1, Page#32)

RESULT:

Rang (COLOUR) Aankh se dekha jata hai, Boo (SMELL) Naak se Soonghi jaati hai, aur Lazzat (TASTE) zaban se, aur Aawaaz Kaan se Suni jaati hai.

Rangat (COLOUR), Zabaan aur Kaan k liye GAIB hai, aur BOO (SMELL), Aankh k liye GAIB hai, Agar koi ALLAH ka Banda, Lazzat aur Boo ko In ki Shaklon main Aankh se dekh le, to woh bhi ILM E GAIB E IZAFI hai..
jese Aamaal QAYAAMAT main Mukhtalif Shaklon main Nazar aaen ge, Agar koi In SHAKLON ko Yahaan dekh le to yeh bhi ILM E GAIB hai..

Jese HAZRAT SHIEKH ABDUL QADIR JILANI farmate hain:

"Koi Mahina aur Koi Zamana, Aalam main nahin Guzarta, magar woh Hamare pass ho kar Ijazat le kar Guzarta hai" (ALLAH ki ATA se)

Isi tarah koi Cheez Filhaal mojood na hone ya Bohat door hone ya kisi aur wajah se Nazar na aasake, to woh bhi GAIB hai, q k jab woh CHEEZ nazar nahin aarahi to kisi ko kiya maaloom k woh kiya hai, to agar kisi ne us cheez ko bager Hawas k jaan liya to woh b ILM E GAIB hai.

Jese HUZOOR (ALEH SALAAM) ne aaenda Peda hone waali cheezon ko Mulahiza Farma liya,
HAZRAT UMAR (RAZI ALLAH ANHU) ne Nihawand main HAZRAT SAARIYAH ko Madine PAAK se Dekh liya, aur un tak apni Aawaaz puhncha di, Isi Tarah koi Shakhs agar KARACHI main Beth k Punjab dekh le, ya aesi koi jagah dekhe ya us ka batae jo Hawaas se maaloom na ho, to yeh sab ILM E GAIB main hi Daakhil hai..

Agar koi Cheez Aalaat (Instruments) ki madad se maaloom ki jae, to woh ILM E GAIB main Shumaar nahin hoti,

FOR E.G

Kisi Aalay (Instrument) k Zariye Aurat k Pait ka Bacha Maaloom karte hain, Ya Telephone aur Radio k zariye se Door ki Aawaaz sun lete hain, is ko ILM E GAIB nahin keh sakte,

Q k ILM E GAIB ki Taareef main Arz kar diya gaya hai k jo HAWAAAS se Maaloom na hosake, aur Telephone aur Radio main se Jo Aawaaaz nikli woh Aawaaz Hawaas se Maaloom hone k Kaabil hai, Aalay se jo Pait k Bachay ka Maaloom kiya gaya yeh b ILM E GAIB na huwa, Q k Jab AALA (ANSTRUMENT) zaahir kar diya gaya, to ILM E GAIB kesa??

Yeh Thi TAAREEF aur IQSAAM ILM-E-GAIB ki, IN’SHA ALLAH Next Topic main hum aap ko ILM-E-GAIB k Saboot denge, QURA'ANI AAYAAT, AHADEES, ULAMA-E-UMMAT, Aur khud BAD AQEEDAH FIRQAH'Z ki Kitaabon se,..

Aur phir Bad Aqeedah logon k kiye gae Etarazaat k jawabat bhi dengey..

In'sha ALLAH

 Jazak ALLAH

No comments:

Post a Comment